Thursday 22 September 2011

Interview of Poets


Dr. Basheer Badar ji!!

Kuch pal Dr.basheer badar ji






Nausheen- Dr. Shahab mai kin lafzo mai aapka welcome karo
Dr.Basheer Badar - Yahi hal mera hai ,mai  kin lafzo mai aapka jawab  do!
Nausheen - Dr. Sahab  aaapki shayari kebare mai to sab jante hai aap apne bare mai kuch bataye?
Dr.Basheer Badar - Mai basically,merebaap dada Faizabad ke  rhene wale hai lekinmai kanpur mai paida hua .             Aligarh Muslim University se maine M.A. Phd  ki Aur meri sabse badi pehchan yehai ki                      
          mai   likhta Urdu mai hu aur  pada jata hu Hindi mai Angrezi mai Persian mai Ye meri     
        pehchan hai!
Nausheen- Iska matlab aapko persian bhi
Dr.Basheer Badar -Ha ji ,mujhePersian aati hai Punjabi bhi ,Gujrati  ,Marathi bhi maineapne aur Galib
             ke shero ka  collection  Gujrati aur Marathi mai banaya hai aur jo paisa aata hai to mai       
            kheta hu ki mai wo nahi lunga balki wo naye writers ki kitabo ko chapane mai aur unke 
            promotion mai istemalkar lijiye mere passto aur bhi jariye hai!
Nausheen- Dr. Sahab thoda aapki zindgi ke bare mai baat karte hai .kase aapshayari ki taraf bade
Dr.Basheer Badar - Shayari ne mujhe talash kiya 
              Sajti hai kahi aansuo se jami ,
              Gazal ke sher bhala kaha roz roz hote hai!!
              Maine shayari ko bilkul talash nahi kiya balki shayari ne  basheer badr  ko talash kiya 
             woMir Galib ke panjo ke neeche dabi hui thi 150 saal se shayari ke dil par galib ka juta 
            rakha tha Mir ki chappal rakhi thi  use Bashir Badr chahiye tha Jo use pyar se le aya 
Nausheen-  ji koi hadsa tha jab aap shayari ki taraf bade ,koi vakya ??
Dr.Basheer Badar - Koi haath bhi na milayega ,jo gale miloge itefaq se!
               Ye naye mizaz ka shehar hai,jara fasle se mila karo!!
Nausheen- Kya baat hai g ,tab  age kya rahi hogi aapki
Dr.Basheer Badar - Maine jo  phele sher kaha hai jo duniya ka sabse mashhur sher hai  jomaine paida hote hi      
              kaha tha aur wo duniya ka sabse mashhur sher hai -
               Ujale apni  yaado ke humare saath rhene do,
               Na jane kis gali mai jindgi ki sham ho jaye!!
Nausheen- ye aapka sher ase hai  jo itihas ke panno mai sunhare aksharro mai likh gaya hai
           ab agar aapki izazat ho to hum   kuch sawal  rahat badr ji se karna chahte hai
Dr. basheer badar- ji
Nausheen-aap kuch batayei  apne aur badr ji ke bare mai
 Rahat Badar - mai yaha pe ye khena chahungi ki mai is baat ko janti thi ki mai jis aadmi se bandh rahi hu wo mera akela nahi hai mujhe gc bhandari ji ne kaha tha ki beta  tum kabhi bashir badr ko kewal apna nahi samajhna ye Hindustan ki property hai jo tumhe di ja rahi hai isiliye maine bhi inka khayal Hindustan ki property ki tarah rakha hai 
nausheen-  Dr. sahab jab aaap rahat ji se mile to aapne inse kya kaha,kuch ase waqya,
Dr. basheer badar- Ha ji ek sher maine bhi kaha tha-
              Mai is khayalse iske kareeb aya tha,
              Kidusro ki tarah wo bhi bewafa hoga!!
               Par ajj natija ye hai ki ye mere bete ki ammi hai
nousheen-  ji ek aakhiri   guzarish aap kisi ek sher ke madhyam se  apne chahne walo se kya khena      chahenge
Dr.Basheer Badar- saat sandoko  mai bharkar dafan  kar do nafrato,
              aaj insaa ko mohabaat ki jarorat  hai bhut!
nausheen- Wah bhut khoob ji

           

No comments:

Post a Comment