Thursday 22 September 2011

Sad Poetry


Munawwar Rana



Aankho mai koi khuwaab sunehara nahi aata...
Aankho mai koi khuwaab sunehara nahi aata
is jheel par ab koi parinda nahi aata.
Halaat ne chehare ki chamak cheen li warna,
do chaar baras mai to burapa nahi aata.
muddat se tammannaye saji bethi haien dil main,
is ghar mai bade logo ka rishta nahi aata.
is darza masaiib k jahannum mai jala hou,
ab koi bhi mousam ho paseena nahi aata.
wo qoam ki taqdeer badalne uthe haien,
jin logo ko bachpan se kalma nahi aata.
bus teri mohabbat mai chala aaya hou warna,
yu sab k bulane se "rana" nahi aata.


Poety By: Munawwar Rana kolkata

    ......................
Khuch khuch Pagal.......


Pyaar ke deep jalane wale khuch khuch pagal hote haien
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Hijar K Gehre Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua,
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Jaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai,
Sari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Khuwabon Mein Bi piya Milan K Sapne Dekhte Rehte Haien,
Neendon Mein Muskane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Iss Jhoti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha Hai,
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata Hai,
Shab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Kerte Haien,
Auroon Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Us Ke  ISHQ Mein Bheeg Ke “wasique” Ham Ko Yeh Ehsaas Hua,
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.

Poetry by:  S.Wasique 

Umar bhar Sath Raha............
Umar bhar sath raha jis k mai saya ban kar,
us ki aankho mai khatakta raha kanta bankar..
kabhi jugnu kabhi shabnam kabhi shola bankar,
zindagi jeeta hou har roz mai kya kya bankar..
lakh duniya se rakkhu door magar is dil mai,
khuwaishe roz janam leti haien duniya bankar..
ji nahi sakta mai auro ki tarah , aur mujhe,
log jeene nahi dete haien farishta bankar..
zakham e dil apne zamane ko dikho na faraz,
warna rah jaoge duniya mai tamasha bankar..

Poet By: Dr.Mujahid Faraz

Aese bhi khuch gum hote haien,...

Aese bhi khuch khuch gum hote haien,
jo ummed se kam hote haien.
aage aage chalta hai rishta,
peeche peeche hum hote haien.
raag ka waqt nikal jata hai,
jab tak sur qayam hote haien.
bahar ki khushki pe na jao,
patthar andar nam hote haien.
milne koi nahi aata jab,
apne aap mai hum hote haien.
chehro ki beer hai lekin,
sahi salamat kam hote haien,
nazme ghazle khat afsane,
uske naam raqam hote haien.
dil k shelf mai 'shahid' kitni,
yaado k album hote haien.

Poet By: Shahid Meer ( Bhopal)

Koi haadsa na hum ko mita paya.......
koi haadsa na hum ko mita paya,
har ek haadse ke sath housla paya.
wo shakhsh jis par bahut aitebaar tha hum ko,
usi ko hum ne zamane main be-wafa paya.
hum uske shehar mai muddat k baad  kya lote,                   
har ek mod par yaadoun ka silsila paya.
badaye jab bhi qadam sach ka sath dene ko,
mukhaalfeen mai khud ko ghira paya.
usool hum ne sab ke alag alag dekhe,
mijaz hum ne sab ka juda juda paya.
taqaza mujh se hai ku usko bhool jane ka,
koi bataye ke kya wo mujhe bhola paya.
wo zindagi ki zaroorat hi ban gaya 'Aazir"
ke jis ko baraha khoya baraha paya.

Poet By: Iqbaal Aazir



Jahan se hath bhi dil bhi mila k dekha liay..


Jahan se hath bhi dil bhi mila k dekh liya,
Sabhi haien door bahut paas jake dekh liya. 
phir aese khoye ki khud ko bhi umar bhar na mile,                
ki chahte the jise usko pake dekh liya.
pata nahi ki luta kya hai aur bacha kya hai,
chiraag-e-khema-e-dil bhi jalake dekh liya.
hamare sabr ki she rag kisi tarah na kati,
sitam ne is pe bhi khanzar chalake dekh liya.
yeh dil bhi khoob hai uske hi sath chalta hai,
safar mai jisne use muskura ke dekh liya.
yahan libaas mahkte haien jism bekhushbu,
"nazeer" usko gale se lagake dekh liya.




Poet By: nazeer bakri


Bujha diye haien khud apne hatho mohabbat ke diye jala ke,
sahir ludhianvi




Bujha diye haien khud apne hatho mohabbat ke diye jala ke,
meri wafa ne ujaad di haien ummed ki bastiyan basa ke.
tujhe bhula denge apne dil se, yeh faisla to kya hai lekin,
na dil ko maloom hai na hum ko, jiyenge kese tujhe bhula ke.
kabhi milege jo raste mai to munh fhera kar palat padenge,
kahin sunge jo naam tera to chup rahenge nazar zhuka ke.
na sochne par bhi sochta hou ke zindagni mai kya rahega,
teri tamanna ko dafan karke tere khayalo se door jake.




Poet By: Sahir ludhianvi



Tune dekh hai kabhi ek nazar shaam k baad
Farhat Abbas Shah


tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad,
kitne chup chaap se lagte haien shjar shaam ke baad.
itne chup chaap ke raaste bhi rahenge la-elam,
chor jayege kisi roz nagar shaam ke baad.
maine aese hi gunah teri judai mai kiye, 
jese tufaan mai koi chor de ghar shaam ke baad.
shaam se pahle w mast apni udaano mai raha,
jis ke hath mai the toote huye par shaam k baad.
raat beeti to gine aab-le aur socha,
kon tha ba-ise aaghaz-e-safar shaam k baad,
to hai suraj tujhe maloom kahan raat ka dukh,
to kisi roz mere ghar mai utar shaam k baad.




Poetry By: farhat abbas shah





समझ रहा था मे अपना जिसे .जमाने मे 
हे पेश पेश वही अब मुझे मिटाने मे,
खुशी ना पहली सी अब हे तुमहारे आने मे
कि गम भी होता नही अब तुमहारे जाने मे
जमाना खुद ही तुमहे इक दिन बता देगा
नही हे मुझ सा बा वफा कोई जमाने मे
मुहबबतो के तकाजे बदल गय़े है बहुत 
नही है कुछ भी मजा अब तो दिल लगाने मे
बदल गय़े है शब औ रो.ज वह नही बदला
मिलेगा कय़ा उसे हर बाऱ आ.जमाने मे


No comments:

Post a Comment