Thursday 22 September 2011

Interview of Poets


Dr. Basheer Badar ji!!

Kuch pal Dr.basheer badar ji






Nausheen- Dr. Shahab mai kin lafzo mai aapka welcome karo
Dr.Basheer Badar - Yahi hal mera hai ,mai  kin lafzo mai aapka jawab  do!
Nausheen - Dr. Sahab  aaapki shayari kebare mai to sab jante hai aap apne bare mai kuch bataye?
Dr.Basheer Badar - Mai basically,merebaap dada Faizabad ke  rhene wale hai lekinmai kanpur mai paida hua .             Aligarh Muslim University se maine M.A. Phd  ki Aur meri sabse badi pehchan yehai ki                      
          mai   likhta Urdu mai hu aur  pada jata hu Hindi mai Angrezi mai Persian mai Ye meri     
        pehchan hai!
Nausheen- Iska matlab aapko persian bhi
Dr.Basheer Badar -Ha ji ,mujhePersian aati hai Punjabi bhi ,Gujrati  ,Marathi bhi maineapne aur Galib
             ke shero ka  collection  Gujrati aur Marathi mai banaya hai aur jo paisa aata hai to mai       
            kheta hu ki mai wo nahi lunga balki wo naye writers ki kitabo ko chapane mai aur unke 
            promotion mai istemalkar lijiye mere passto aur bhi jariye hai!
Nausheen- Dr. Sahab thoda aapki zindgi ke bare mai baat karte hai .kase aapshayari ki taraf bade
Dr.Basheer Badar - Shayari ne mujhe talash kiya 
              Sajti hai kahi aansuo se jami ,
              Gazal ke sher bhala kaha roz roz hote hai!!
              Maine shayari ko bilkul talash nahi kiya balki shayari ne  basheer badr  ko talash kiya 
             woMir Galib ke panjo ke neeche dabi hui thi 150 saal se shayari ke dil par galib ka juta 
            rakha tha Mir ki chappal rakhi thi  use Bashir Badr chahiye tha Jo use pyar se le aya 
Nausheen-  ji koi hadsa tha jab aap shayari ki taraf bade ,koi vakya ??
Dr.Basheer Badar - Koi haath bhi na milayega ,jo gale miloge itefaq se!
               Ye naye mizaz ka shehar hai,jara fasle se mila karo!!
Nausheen- Kya baat hai g ,tab  age kya rahi hogi aapki
Dr.Basheer Badar - Maine jo  phele sher kaha hai jo duniya ka sabse mashhur sher hai  jomaine paida hote hi      
              kaha tha aur wo duniya ka sabse mashhur sher hai -
               Ujale apni  yaado ke humare saath rhene do,
               Na jane kis gali mai jindgi ki sham ho jaye!!
Nausheen- ye aapka sher ase hai  jo itihas ke panno mai sunhare aksharro mai likh gaya hai
           ab agar aapki izazat ho to hum   kuch sawal  rahat badr ji se karna chahte hai
Dr. basheer badar- ji
Nausheen-aap kuch batayei  apne aur badr ji ke bare mai
 Rahat Badar - mai yaha pe ye khena chahungi ki mai is baat ko janti thi ki mai jis aadmi se bandh rahi hu wo mera akela nahi hai mujhe gc bhandari ji ne kaha tha ki beta  tum kabhi bashir badr ko kewal apna nahi samajhna ye Hindustan ki property hai jo tumhe di ja rahi hai isiliye maine bhi inka khayal Hindustan ki property ki tarah rakha hai 
nausheen-  Dr. sahab jab aaap rahat ji se mile to aapne inse kya kaha,kuch ase waqya,
Dr. basheer badar- Ha ji ek sher maine bhi kaha tha-
              Mai is khayalse iske kareeb aya tha,
              Kidusro ki tarah wo bhi bewafa hoga!!
               Par ajj natija ye hai ki ye mere bete ki ammi hai
nousheen-  ji ek aakhiri   guzarish aap kisi ek sher ke madhyam se  apne chahne walo se kya khena      chahenge
Dr.Basheer Badar- saat sandoko  mai bharkar dafan  kar do nafrato,
              aaj insaa ko mohabaat ki jarorat  hai bhut!
nausheen- Wah bhut khoob ji

           

wah kya sher hai.....


Shahen Shah Miyan
ae aasmaan meri zameen par tu aa kar dekh
mai jis makaam par hou  waha muskuara kar dekh
hatho ki yeh lakkeere to mit sakti hai magar
likha hai jo naseeb mai wo mita kar dekh 



Poet by : Shahen shah Miyan 

Muhabbat karane vaale kam na honge

terii mehfil mein lekin ham na honge

Pro.waseem bareilvi
Poet By:   Hafeez Hoshiarpuri




usoolo par agar aanch aaye to takrana zaroori hai,
agar ho zinda to zinda nazar aana zaroori hai




Poet By : Pro. waseem bareilvi







Dr.Nawaaz deobandi


Anjaam uske haath hai aaghaz karke dekho.
Bheege hue paron se hi parwaaz karke dekho





Poet By: Dr.Nawaaz Deobandi




                                                                                       

Amjad Islam Amjad


Chehare pe mere zulf ko bikhraao kisii din 
 kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din 



 Poet By:  Amjad IslamAmjad



har kisii se maangate hain ye vafaaon kaa saboot 
bevafaa jab se vafaadaaron ke maalik ho gaye 

  Poet By : Manzar Bhopali


Kaif Bhopali
kaise maane ke unhen bhool gayaa tuu ai kaif 
un ke Khat aaj hamen tere sarahaane se mile 

Poet By: Kaif Bhopali







Dr.Basheer Badar
ujaale apanii yaado.n ke hamaare saath rahane do 
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaaye 
Poet By: Dr. Bashir Badr
 

hamein bhi doston se kaam aa padaa yaani
hamaare doston ke bevafaa hone kaa waqt aayaa  
Poet By: Hari Chand Akhtar
Mirza Galib
mujh tak kab un kii bazm men aataa thaa daur-e-jaam 
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab men 
Poet By: Mirza Galib



Huyi Muddat Ke Ghalib Mar Gaya Par Yaad Aata Hai”
“Woh Har Ek Baat Par Kahna, Ke Yu Hota To Kya Hota



Poet By : Mirza Galib


Hazaaron Khwahishein Aisee Ke Har Khwahish Pe Dam Nikley”
”Bahut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kam Nikle



Poet By: Mirza Gali

terii tasviir se karataa thaa baate.n 
mere ghar me.n aa_iinaa nahii.n thaa 


Poet By:Maja
Mazhab alag zabaan alag, jisam o jaan alag,
dil ek hai magar mere hindustan ka.


Poet By:  Moazzam ali moazzam


jise hamari mohabbat hamara gum hoga,
wahi hamare liye sab se mohatram hoga.


Poet BY: J.Rasheed

Mujhe tumse koi shikwa nahi hai, 
bahut din ho gaye roya nahi tha.

Poet By : Ateeq Ullah 


us par tabdeeli mousam ka asar khuch bhi  nahi
kal bhi wo sang tha aur aaj bhi pathar nikla 


Poet by: saeed nomani














Funny poetry & Jokes



Ek din mera meri ghar wali se jhagda ho gaya,
mamoli nahi tagda ho gaya,
boli tum meri har baat ko talte ho
tum ek kaan se sunte ho dusre se nikalte ho,
mai bola is mamle mai tum kaun si kam ho,
agar mai pathaka to tum bam ho,
mai to har aane  wali bala ko talta hu,
ek kaan se sunta hu dusre se nikalta hu,
magar tumto roj sabji mai tel namak dalti ho,
agar mai kuch tumse kahu to,
tum dono kaan se sunti  ho aur muh se nikalti hu




Charlie


Jhandu Bam Jhandu Bam Jhandu Bam,Na   Sardi Na jhukam!
Murgo ne Yarro    Shadi     nahi     ki ,     Ande     hue    hazar
Kitni pyari  julf  hai   tumhari   mere       Abdul Kalam
ek   mai bolu   wo char sunaye biwi hai  Belagam !
Jane Tamaana  tu hai rubai , mai hu tera  khayaam,
Dil behlau sab ko hasau ,Sagar hai mera Naam!!

Ibrahim Sagar

Poetry by female



Ankho mai rang bhar pyar k bharne lagi


Aankho mai rang pyar k bharne lagi hou mai,
aaina samne hai sawarne lagi hou.
aankho mai us ki pa ke ishare wafao ke,
gehre samundaro mai utarne lagi hou mai.
manzil, na qafila, na musafir,na rehbar,
yeh kese raasto se guzarne lagi hou mai.
ahbaab k fareeb musalsal ne yeh kiya ,
parchaiyo se apni hi darne lagi hou mai.
aflaq jab ana k phigalte huye mile,
par apni aarzo k katrane lagi hou mai.
"meena" tasawraat mai parchaiyan si haien,
jane yeh zindagi marne lagi hou mai.


Poet By: Dr.Meena Naqvi


Na mai khayal mai tere na mai gumaan mai....




Na mai khayal mai tere na mai gumaan mai hou,
yaqeen dil ko nahi hai k is jahan mai hou.
Elahi rakhiyega duniya mai sarfaraz mujhe,
mai pahle ishque k pahle hi imtehaan mai hou.
wo jis ko dekh kar bacche bhi sare chor gaye,
mai ek toota khilona kisi dukaan mai hou.
bada taweel safar tha yeh zindagi ka meri,
farishto sone do mujh ko k mai thakaan mai mai hou.
ab  un se kya kahou ae "fozia" k khud mai abhi,
kabhi nafi to kabhi ha k darmiyan mai hou

Poet By: Fozia Mugal


Ku ba Ku phhell gayi baat shanasai ki,
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki.
kese kah du k mujhe chor gaya diya hai us ne ,
baat tu sach hai magar baat hai ruswai ki.
wo kahi bhi gaya , lota tu mere paas aaya,
bus yahi baat hai acchi mere harjai ki.
tere phalu , tere dil ki tarah abaad rahe,
tujh par guzre na qayamat shab tanhai ki.
us ne jalti huyi peshani par jab haath rakh,
rooh tak aa gayi taseer masai ki.
ab bhi barsaat ki raato mai badan toota hai,
jaag utthi hai ajeeb khuwaish angrai ki.

Poet By: Praveen Shakir




Miljul k mouhabbat ke din..



Miljul Ke Muhabaat Ke Din Aise Guzaarungi Ki,
Wo Mujhko Sawarega Mai Usko Swarungi.

Ho Laakh Hawa Dushman Is Baar Patang Apni,
Jis Chhat Pe Wo Keh Dega Us Chhat Pe Utaarungi.

Pardes Chale Ho Tum Lekin Zara Socho To,
Din Kaise Bitaungi Shab Kaise Guzarungi.

Allah Madad Teri Mere Liye Kaafi Hai,
Main Aur Kahin Jaakar Daaman Na Pasaarungi.

Hai Naam "Sana" Mera Deewani Tumhari Hoon
Koyal Ki Tarah Tumko Din Raat Pukarungi




Poet By: shaista sana



Rasm E wafa nibhana ......



Rasm E Wafa Nibhana To Ghairat Ki Baat Hai,
Wo Mujhko Bhool Jaye Ye Hairat Ki Baat Hai.
Sab Mujhko Chahte Hain Ye Shohrat Ki Baat Hai,
Mai Usko Chahti Hoon Ye Kismat Ki Baat Hai.
Izhaar E Ishq Kar Hi Diya Mujh Se Aap Ne,
Ye Bhi Janab Aap Ki Himmat Ki Baat Hai.
Taarif Kar Rahe Hain Sabhi Aaj Kal Meri,
Isme Koi Zaroor Siyasat Ki Baat Hai.
Rakhta Hai Yunhi Yaad Kisi Ko Koi Kahan,
Ye To Bas Apni Apni Zaroorat Ki Baat Hai.
Wo Jis Ko Chahey Apne Karam Se Nawaz De,
Ye To Khuda Ki Bandey Se Nisbat Ki Baat Hai.
Sauda Kisi Se Maine Ana Ka Nahin Kiya,
"Nuzhat" Ye Mere Wastey izzat Ki Baat Hai


Poet BY: Nuzhat anjum


Sad Poetry


Munawwar Rana



Aankho mai koi khuwaab sunehara nahi aata...
Aankho mai koi khuwaab sunehara nahi aata
is jheel par ab koi parinda nahi aata.
Halaat ne chehare ki chamak cheen li warna,
do chaar baras mai to burapa nahi aata.
muddat se tammannaye saji bethi haien dil main,
is ghar mai bade logo ka rishta nahi aata.
is darza masaiib k jahannum mai jala hou,
ab koi bhi mousam ho paseena nahi aata.
wo qoam ki taqdeer badalne uthe haien,
jin logo ko bachpan se kalma nahi aata.
bus teri mohabbat mai chala aaya hou warna,
yu sab k bulane se "rana" nahi aata.


Poety By: Munawwar Rana kolkata

    ......................
Khuch khuch Pagal.......


Pyaar ke deep jalane wale khuch khuch pagal hote haien
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Hijar K Gehre Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua,
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Jaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai,
Sari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Khuwabon Mein Bi piya Milan K Sapne Dekhte Rehte Haien,
Neendon Mein Muskane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Iss Jhoti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha Hai,
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata Hai,
Shab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Pyaar Kahan Kerte Haien,
Auroon Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.
Us Ke  ISHQ Mein Bheeg Ke “wasique” Ham Ko Yeh Ehsaas Hua,
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Haien.

Poetry by:  S.Wasique 

Umar bhar Sath Raha............
Umar bhar sath raha jis k mai saya ban kar,
us ki aankho mai khatakta raha kanta bankar..
kabhi jugnu kabhi shabnam kabhi shola bankar,
zindagi jeeta hou har roz mai kya kya bankar..
lakh duniya se rakkhu door magar is dil mai,
khuwaishe roz janam leti haien duniya bankar..
ji nahi sakta mai auro ki tarah , aur mujhe,
log jeene nahi dete haien farishta bankar..
zakham e dil apne zamane ko dikho na faraz,
warna rah jaoge duniya mai tamasha bankar..

Poet By: Dr.Mujahid Faraz

Aese bhi khuch gum hote haien,...

Aese bhi khuch khuch gum hote haien,
jo ummed se kam hote haien.
aage aage chalta hai rishta,
peeche peeche hum hote haien.
raag ka waqt nikal jata hai,
jab tak sur qayam hote haien.
bahar ki khushki pe na jao,
patthar andar nam hote haien.
milne koi nahi aata jab,
apne aap mai hum hote haien.
chehro ki beer hai lekin,
sahi salamat kam hote haien,
nazme ghazle khat afsane,
uske naam raqam hote haien.
dil k shelf mai 'shahid' kitni,
yaado k album hote haien.

Poet By: Shahid Meer ( Bhopal)

Koi haadsa na hum ko mita paya.......
koi haadsa na hum ko mita paya,
har ek haadse ke sath housla paya.
wo shakhsh jis par bahut aitebaar tha hum ko,
usi ko hum ne zamane main be-wafa paya.
hum uske shehar mai muddat k baad  kya lote,                   
har ek mod par yaadoun ka silsila paya.
badaye jab bhi qadam sach ka sath dene ko,
mukhaalfeen mai khud ko ghira paya.
usool hum ne sab ke alag alag dekhe,
mijaz hum ne sab ka juda juda paya.
taqaza mujh se hai ku usko bhool jane ka,
koi bataye ke kya wo mujhe bhola paya.
wo zindagi ki zaroorat hi ban gaya 'Aazir"
ke jis ko baraha khoya baraha paya.

Poet By: Iqbaal Aazir



Jahan se hath bhi dil bhi mila k dekha liay..


Jahan se hath bhi dil bhi mila k dekh liya,
Sabhi haien door bahut paas jake dekh liya. 
phir aese khoye ki khud ko bhi umar bhar na mile,                
ki chahte the jise usko pake dekh liya.
pata nahi ki luta kya hai aur bacha kya hai,
chiraag-e-khema-e-dil bhi jalake dekh liya.
hamare sabr ki she rag kisi tarah na kati,
sitam ne is pe bhi khanzar chalake dekh liya.
yeh dil bhi khoob hai uske hi sath chalta hai,
safar mai jisne use muskura ke dekh liya.
yahan libaas mahkte haien jism bekhushbu,
"nazeer" usko gale se lagake dekh liya.




Poet By: nazeer bakri


Bujha diye haien khud apne hatho mohabbat ke diye jala ke,
sahir ludhianvi




Bujha diye haien khud apne hatho mohabbat ke diye jala ke,
meri wafa ne ujaad di haien ummed ki bastiyan basa ke.
tujhe bhula denge apne dil se, yeh faisla to kya hai lekin,
na dil ko maloom hai na hum ko, jiyenge kese tujhe bhula ke.
kabhi milege jo raste mai to munh fhera kar palat padenge,
kahin sunge jo naam tera to chup rahenge nazar zhuka ke.
na sochne par bhi sochta hou ke zindagni mai kya rahega,
teri tamanna ko dafan karke tere khayalo se door jake.




Poet By: Sahir ludhianvi



Tune dekh hai kabhi ek nazar shaam k baad
Farhat Abbas Shah


tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad,
kitne chup chaap se lagte haien shjar shaam ke baad.
itne chup chaap ke raaste bhi rahenge la-elam,
chor jayege kisi roz nagar shaam ke baad.
maine aese hi gunah teri judai mai kiye, 
jese tufaan mai koi chor de ghar shaam ke baad.
shaam se pahle w mast apni udaano mai raha,
jis ke hath mai the toote huye par shaam k baad.
raat beeti to gine aab-le aur socha,
kon tha ba-ise aaghaz-e-safar shaam k baad,
to hai suraj tujhe maloom kahan raat ka dukh,
to kisi roz mere ghar mai utar shaam k baad.




Poetry By: farhat abbas shah





समझ रहा था मे अपना जिसे .जमाने मे 
हे पेश पेश वही अब मुझे मिटाने मे,
खुशी ना पहली सी अब हे तुमहारे आने मे
कि गम भी होता नही अब तुमहारे जाने मे
जमाना खुद ही तुमहे इक दिन बता देगा
नही हे मुझ सा बा वफा कोई जमाने मे
मुहबबतो के तकाजे बदल गय़े है बहुत 
नही है कुछ भी मजा अब तो दिल लगाने मे
बदल गय़े है शब औ रो.ज वह नही बदला
मिलेगा कय़ा उसे हर बाऱ आ.जमाने मे


Romantic Poetry




aanchal sambhaliye

 Din aa gaye shabaab ke aanchal sambhaliye
  din aa gaye shabaab ke aanchal sambhaliye
  hone lagii hai shahar men hal-chal sambhaliye
  
  chaliye sambhal sambhal ke kathin raah-e-ishq hai
  naazuk badii hai aap kii paayal sambhaliye

  saj dhaj ke aap nikale sar-e-raah khair ho
  takaraa na jaaye aap ka paagal sambhaliye

  ghar se naa jaao duur kisii ajanabii ke saath
  barasenge zor-zor se baadal sambhaliye

    Poetry by: Madanpal 



  Badalate waqt kaa ik silsila saa lagtaa hai
tumhara husn kisi aadmi ka husn nahi

  badalate waqt ka ik silsila sa lagtaa hai
  ke jab bhii dekho use doosra sa lagtaa hai

  tumhara husn kisi aadami ka husn nahin
  kisi buzurg ki sachchi duaa sa lagtaa hahi

  teri nigaah ko tamiz rang-o-noorr kahan
  mujhe to Khoon bhi rang-e-hina sa lagtaa hai

  dimaag-o-dil hon agar mutma_ein to chhaaon hai dhoop
   thapedaa luu kaa bhii Thandii havaa sa lagtaa hai
  vo chhat pe aa gayaa betaab ho ke 
  abKhudaa bhii aaj shariik-e-duaa sa lagtaa hai

  tumhara haath jo aayaa hai haath men mere
  ab aitabaar kaa mausam haraa sa lagtaa hai

  nikal ke dekho kabhii nafarato.n ke pinjare se
  tamaam shahar kaa "Manzar" khulaa saa lagataa hai          Poetry By: Manzar bhopali



Poetry By: Nooh
Aap jin ke qareeb hote haien
 aap jin ke qareeb hote haien 
 vo bade Khush-naseeb hote hai
 jab tabiyat kisii pe aati hai 

 maut ke din qareeb hote hain
 mujh se milanaa phir aap ka milnaa

 aap kis ko naseeb hote haien
 zulam sah kar jo uff nahi.nahi karate 

                                     un ke dil bhi ajeeb hote haien

sardar panchi
        kahani  sun li.....                                                                      
  jab bhi chaha tere hontou ki kahani sun li,                      
  kabhi bulbul kabhi bhawre ki zubani sun li.
  aap to kaan se sunne mai yakeen rakhte haien,
  hum ne to aankh se darya rawani sun li,
  bs pe herat hai ki chup chaap tujhi se hum ne,
  teri har baat a-re zulam ki bani sun li,
  mai to kahta tha meri baat udasi degi,
  aap ki zid ne koi baat na mani sun li.
  log kahte haien ke dewaana huwa hai "panchi"
  yeh khabar aaj magar teri zubani sun li.


Poetry By: Sardar Panchi Ludhiana







Bane aaina dil mere, chahta hou....

Afzal Manglori with Mukesh Bhat
  Bane aaina dil mera , chahata hou,
  aur usmai tujhe dekhna cahahta hou.                              
  mai batlaou kya yeh khuda janta hai,
  tujhe jaan-e-dil se siwa janta hou.
  tasawwur mai tu hi rahe mere har dam,
  tujhe raat din sochna cahata hou.
  ghazal banke jaan-e-ghazal mere dil mai,
  tu ho jaye nagma sara chahata hou.
  hou mujrim ki marham faqat yeh bata de,
  nazar ka teri faislaa cahata hou.
  zabaa se kahu tu hai toheen-e-ulfat,
  wo khud jante haien,mai kya cahhata hou.
  gunahao ki ho entehaa isse pahle,
  "karam ki teri entehaa chahata hou.
   banu khaksari mai bhi sabse "Afzal'
   mai "afzal' yahi martaba chahata hou.


                                                                                                                                  
  tujhe tujh se churaana chahta hou



tujhe tujh se churaana chahta hou,
unoon ko aazmana cahata  hou.
hamare darmayan jo mojzan tha,
wahi rishta purana chahta hou.
makaan badle haien is nagar mai kitne,
mai ab k ghar basana chahta hou.
samay ki aandhiyo se bhujh na paye,
diya aesa jalana chahat hou.
yeh duniya to bahut choti hai jana,
tere dil mai samana chahta hou.
tumhara sath ho aur gheet likho,
mai jeevan shayarana chahata hou.

Poet By:aamir bin ali