Friday 2 March 2012

fursat ke din


Ab kaha ishk mohabaat ki.wo baate ,ab kaha!
Aye wo fursat ke din wo fursat ki rate ab kaha,
Wo mera dil thamna   jindgi ki khoobsoorat vardate
ab kaha,wo fursat ke din fursat ki rate ab kaha
Baar baar uska wo aakar haal mera puchna,
Wo sama wo karam wo mulakate ab kaha,
Chupke chupke aahe bharna ,dil mai ruswai ka kauf
Ashique mai har wo nafaswo wo inkar ab kaha                 
Gasuo se chedkhani dil ki wo banti bigadti kaynate ab kaha
Khawab ho kar reh gayi sari umenge saans lena bojh hai
Jeene ki baate ab kaha hai wo fursat ke din fursat ki rate ab kaha!!

No comments:

Post a Comment