Monday 14 May 2012

Tarajoo jehan ka jab tolta hai


Tarajoo jehan ka jab tolta hai ,mere lafjo mai jado bolta hai 
mera bacha jaba jab kholta hai ,jase kaan mai raas gholta hai 
phalak seaah takrati hai jisdum ,to jalim ka singhasan dolta hai
mere muh mai wo rakh ke chand dane ,lahu mai jeher nafrat gholta hai
saleebodar ki jeenat banega , mere andar koi sach bolta hai 
usi par sakht ho jate hai phere ,jo udne ke liye par tolta hai
hunar usko aata hai guftgu ka wo kadwvi baat mai ras gholta hai
ajab andaj ka shayar hai aazir gazal mai raaze hasti gholta hai!!

No comments:

Post a Comment